Thursday 6 June 2013

Wo Software Engineer Ban-na Chahta Tha! (Chaar Panktiyaan)


Hindustaan ke kisi bhi kone se koi bhi engineer jo hua Pass Out
Foren pakadta hai agli hee gaadi aur pahunch jaata hai (kahaan?)… BTM layout!! 

Aisi hee ichcha rakhte hain hamaare samastipur ke BN Tiwari
Inhe bhi sabki tarah lagi hai software engineer ban ne ki bimaari 

To janaab paaon jyun hii BTM ki sar jameen pe pade
unke kadam deewar pe lagey ek kannada film ke poster ki aur badhe 

unhe poster yun ghurta dekh ek kannada mahashay bole “enno enn nodtaidiya”?
tiwari had done his homework well, so bole “kannad gotilla bhaiyaa” 

“Poster mein aisa goor goor ke kya dekk raa bayaa?Heroine-aa??”
“nahin nahin.. uske chehre pe lagey PG accommodation ka Ad dekh raha hun .. Anna” 

“Ohh.. tumko PG hona.. mera ek prendd.. fayaaz.. uska ek mast PG… with andhra style Food
“tiwari ji bole arrey phir to sahi hai.. it sounds very good” 

Kannada dost ne phone lagaya , udhar se awaaz aayi.. “kya re Soma?? Kidhar mar ra re tu?”
Soma bola.. “aey fayaaz .. ek mera prendd ko PG hona.. usko thoda dekh le re tu..”

 “Bayaa tumko Udupi garden maloom??” soma ne pucha tiwari se
Tiwari ji ne naa mein garden hilaayi aur soma ko dekha lachaari se

 Koi baat nahin bayaa, straighttt gaye to left mein petrol bunks
Aur Road ka dusra side mein Hot Girls and Hunks 

Waisa tumhara naam kya bola tum?
Ji.. bhaiyya D N Tiwari hain hum

Hmm.. DN tiwari.. bole to Damn Northie Tiwari.. soma bola… of course,  mann mein
To tiwari ji ne vida li, petrol bunk pahunche aur fayaaz ko phone lagaaya

Wo bola “Udupi garden ke paas mein khad lele ko chorr.. main 5 nimut mein aaya”
Tiwari ne chaaron aur dekha aur bole “bhai fayaaz yahan ek sharaab ka theka hai, ek restaurant hai.. par kahin koi garden nazar nahin aaya”

 Kuch isi tarah ki shuruaati zaddo zahad ke baad apne hero ko PG mein asara mil gaya
Aur ye sunte hee ki saamne hee girls PG hai, gharwalon ki yaad se jo chera udaas tha.. Khiil gaya!

PG tha to sasta.. par utni hee uski haalat khastaa.. par marta kya na karta
Ek to itne saare log, upar se rules aise ki ekdamm Jail
Room mates mein ek MCA dropout aur dusra BSC fail
 Bistaron  pe raaj tha khatmalon ka
Gandgee se bura haal tha kambalon ka. 

Par phir bhi sabke paas ek ek laptop aur usme kamse kam 20 GB pondi
Sorry iske liye koi rhyming wali line nahin mili.

Tiwari ji ko sabne pehle hii din chetawani de di.. “bangalore mein naukari usiki lagti hai..
Jiske man mein java ho basa, saanson mein C aur ragon mein C++ behti hai..

Ladke ne mehnat ki aur dhanadhan calls aane lagey
Written to clear ho jaaye par interview mein vaat lagey!!

Interviews dete rehna fitrat ho gayi..
Aur sab mein reject hona.. aadat ho gayi.
Aur ek sawaal “tell me something about yourself”  se nafrat si ho gayi

 “Arrey why only something I will tell you everything about myself.. par tab bhi kaunsa tum mujhe ye naukari de dogey”
Adhaa ghanta chaatogey, phir.. “we will get back to you” bolke wapas kalti kar dogey

Isi tarh kayi mahino tak frustiaane ke baad tehraven interview mein khuda mehrbaan hua
Aur 3.2 ka starting package leke smastipur ka launda… pahalwaan hua

Shuru ke kuch mahiney bench pe honeymoon manaya
Uske baad project mein, paani ki tarah apna pasina aur khoon bahaaya
Yeh khoon bahaane wali line meri nahin hai.. meri sense of déjà vu ne mujhse thoda exaggerate karwaya

Roz subaha wo office ki bus ke pichey bhagte log, roz dikhne waale par bezabaan log
Office mein roz milne waale log, saath mein aath-nau ghante bitaayen, phir bhi anjaan log

Inn sheeshe ki chamkti  imaaraton ke andar kaam karne waale yeh bejaan log haay!
Jaise Gobar mein dettol mix kiya ho, aise taste ki wo machine wali chaai

Wo toilet mein dus logon ke ..visarjan ko ek saath sunghana
Wo canteen ke khaane ko pet mein thus kar dopahar mein system ke saamne unghana

Sham ko apne studio apartment ki chat pe khade hone ka akelapan
Socialize hone ki hodd mein har weekend pe daaru peene ka pagalpan

Kya wakaai quality of life change hui hai?
Kataar to  wahi hai.. pehle ration ki thi abb ATM ki hui hai
  
Weekend pe Sham ko chai peeney ghar se bahar niklo to ek se ek nazaare dekhne ko milte hain
Jinn logon ke baap ne kabhi sitar tak nahin dekha.. wo kandhon pe guitar laad ke ghumte hain

Ek kkissa suniye,
BTM ki ek so called music school ke saamne ek sham do ladke baatein kar rahe they
Ek bola “yaar chal hum bhi guitar sekhenge” dusra bola “ abe pehle body to bana le.. tabí to guitaar ke ssath ache bhi lagenge”

Maano guitar guitar nahinpehlwaan hai aur inko uske saath kushti karni hai..
Sangeet wangeet gaya tel lene inhe to sham ko ek aadh ghanta masti kani hai

Sab ek hi thaile ke chatte batte, sab chal rahe hai ek hii bhed chaal,
Pehli salaray mein kapde badalte inke aur dusri mein set karwaaye jaate baal

“kya iss dal dal mein kahin main apna astitva to nahin kho raha hun?”
“kahin iss andhi daud mein main apna vajood, apna vyaktitva to nahin kho raha hun?”

hoke pareshaan inhi sawalo se, tiwari ji ja pahunche “Art of Living”, aur bana liya Sri sri ko apna guru
Bass isi ki kammi thi bhaiyaa…ussi dein se ho gaya unka ‘quarter life crisis” shuru

Pehle tha confusion, phir illusion, phir hua delusion
 aur abb wo ho gaye hain Life se completely dis illusioned
raat ko 2 baje uthe, mann mein thaana ki abb mujhe nahin hai koi bhi khauff
lappy khola, outlook, new mail… aur type kiya Dera rajesh (PM) .. F3* Off!

Mail Send kiya aur ghode bech ke so gaye
Abb jivan mein kuch naya hoga.. inhi sapno mein kho gaye 

Subah roomie ne daanata to bole..” nahin yaar bass bahut ho gaya..
I have been there , done that”
Now I want to do something different in life like writing CAT, XAT or GMAT!

Choti moti cheezen bahut ho gayi.. abb main game changer ban na chahta hun
Isiliye tay kiya hai ki software engineer nahin..abb main  manager ban na chahta hun!! Manager ban na chahta hun!!

1 comment:

  1. Wah wah bahut shundar..Per machine ke chai itni bhi buri nahin hoti

    ReplyDelete